Sunday 13 April 2014

bas kabhi kabhi

kabhi kabhi itne shabd hotey hai 
ki likhtey likhtey kam pad jatey hai
aur kabhi kabhi itney shabd hotey hai
ki meri kalam mai he theher jate hai

kabhi kabhi itna gam hota hai
ki aanson nikal jatey hai
aur kabhi kabhi itna gam hota hai 
ki yhe aankhen he sookh jati hai

kabhi kabhi itni shikaytein hoti hai
ki hum unse lad jaghadtey hai
aur kabhi itni shikaytein hoti hai
hum gehri chupi saadh lete hai

kabhi kabhi itni yaad aati thi
ki hum virha ki aag mai jaltey they
aaj itni yaad aati hai
ki hum khud se he baatein kar lete hai

kabhi kabhi sochtey they 
ki unhe apne dil ki baat btayein
aaj itna sochtey hai 
ki khud se whi baat daurhayein ya na daurhayein

khushi hoti to avsos na kartey
gam hota to shikva na kartey
kabhi kabhi gumsum rhke
bas kabhi kabhi hum yuhi socha kartey hai

kyu jeeke bhi jeene ka ahsaas nahi hia
kyu sab kuch hoke bhi adhoora sa khwab abhi hai
kyu khushi aur gam hume ek jaise he lagtey hai
kyu tere baad humre sab begane he lagtey hai

bas kabhi kabhi 
bas kabhi kabhi 
bas kabhi kabhi...

2 comments: